Apni Kismat Ko Phir Badal Kar Dekhte Hain

Apni Kismat Ko Phir Badal Kar Dekhte Hain
Aao muhabbat ko ek baar sambhal kar dekhte hain

chaand taare phool shabnam sab rakhte hain ek taraf
Mahboob-e-nazar pe es baar mar kar dekhte hain

Jism ki bhookh to roz kai ghar ujaar deti hai
Hum rooh-o-rawan ko apni jaan kar ke dekhte hain

Chor dete hain kuch din ye faza ka muqaam
Chand roz is ghar se nikal kar dekhte hain

Loh-e-fanaa se jaana to fitrat hai sabhi ki
Yaar-e-shaatir pe aitbar phir kar ke dekhte hain

Kon sawaar hai kashti main kon jaata hai saahil par
Saat-samandar se ‘asif’ guftagu kar ke dekhte hain

~ Muhammad Asif Ali (Indian Poet)