Nazam Poetry

Kabhi waqt miley to aa jao

Kabhi waqt miley to aa jao Hum jheel kinare mil bathain Tum apne sukh ki baat karo Hum apne dukh ki baat karen Hum un lamhoon ki baat karen Jo sath tumahray beeet gaye Aur ehad khizaa ki nazar hue Hum shehar khawab ke baasi hain Tum chaand sitaron ki malka Un sabz ruttoon ke daman mein Hum pyar ki …

Read More »

Juda phoolon ko karne ki

Kaha is ne ke shaakhon se Juda phoolon ko karne ki Hawaon ki jo saazish hai Usay achi nahi lagti Faqat ik pal ko jee chaha Usay itna tu keh dun aaj Mohabbat phool ki un patiyon se Barh kar naazuk thi Jisay qadmon taley us ne Kabhi ka roond dala hai

Read More »

Farq Kya parta hai

Sath chore jane se Dil ko toar jane se Farq hi kya parta hai Itna hi to hota hai Bas nahi chalta khud pay Zindah hotay hain magar Zindagi nahi rehti Chahtain mar jati hain Bandagi nahi rehti Hosla nahi hota Ik qadam bhi chalne ka Bas maza hi aata hai Chahatoon mein julne ka Tum bhi chore jao to …

Read More »

Mujh Pey Nazren Jamaye – Nazam

Mujh Pey Nazren Jamaye Kuch Sochte Hoye Apne Nakhnon Ko Danton Se Kat’te Hoye Samne Khari Wo Aik Dam Ro Pari Keh Jese Wo Samajh Gayi Ho Mere Sab Iradon Ko Mere Sab Dardon Ko

Read More »