Sad Shayari – Udas Poetry

Najane mujh se kya pocha gaya tha

Najane mujh se kya pocha gaya tha Magar lab par tera naam aa gaya tha Muheet ik umar par hai faasla woh Meri jaan beech jo rakha gaya tha Suno sar panch ka yeh faisla bhi Woh mujrim hai jisay loota gaya tha Bithaya sir pay logon ne mujhe bhi Libaas fakhira pehna gaya tha Usay rukh yun bdalty dekh …

Read More »

Basti mein ab koi ghar roshan nahi hai

Basti mein ab koi ghar roshan nahi hai Dukh yeh hai logon ko bhi uljan nahi hai So charaghoon ko jala rakha hai lekin Ghar hai ke phir bhi sun-hwa roshan nahi hai Chore satke ho mujhe is baar sach mein Ab ke mujh ko bhi koi uljan nahi hai Yaad mein teri jala hai raat din yeh Khanah dil …

Read More »

Kahani

Tumhari yaado ke phool Ab tak tar o taaza hain Mere dil ke aangan mein Ab tak ugg rahay hain Aur unn ki shaakhen Meri sharianon mein bahtay khoon se Ab tak hari bhari hain Aur unn phoolon se behta lahoo Qatra qatra Tumhari be wafai ki kahani keh raha hai

Read More »

Tairay deyaar qurbat ka woh zamana

Tairay deyaar qurbat ka woh zamana yaad aata hai Mein ro parta hon jab guzra zamana yaad aata hai Reh reh kar yaad atay hain woh naz o andaaz tairay Woh tera daur se dekh kar muskurana yaad aata hai Tairay rukh mehtaab ko dekhnay ke liye kharray rehna Woh tera paas aana aanchal yun hi guzar jana yaad aata …

Read More »

Gham se gham ka soda karna thek nahi

Gham se gham ka soda karna thek nahi Aao sukh se sukh ko tolain behtar hai Dekho tum is sard rawiye ko choro Aik hi raah ko dono ho lein behtar hai Tum mujh ko choray jany ki baat karo Aur ham tum ko kuch na bolain, behtar hai Hai jis jis ke dil main nafrat ki girhain Saray gar …

Read More »

Alwidah Dost

Apne halaat ko kaisay kaisay jiya mein ne Woh jo dard tha tera kaisay kaisay piya mein ne Zindagi bhallay ik taweel raah thi meri Magar teri zaat ki khatir jiya mein ne Woh jo umar thi teri mera pasban thi Kya tha jo supurd tairay khud ko haraya tha mein ne Chala tha jo teri over chorra tha sab …

Read More »