Ain mumkin tha ke mein teray kye par sabr hi kar jata Magar afsos! Ke meri talkhiyan bhi na guzeer thehreeren
Read More »Bta to di hai magar
Bta to di hai magar zeisat baar jaisi thi Tamam umar meri intezaar jaisi thi Hayaat kya thi, faqat inteshaar mein guzri Gahe thi zakham si gaahay qarar jaisi thi Mila hoa meri chaye mein raat kuchh to tha Ke shab gaye meri haalat khumar jaisi thi Tumhari yaad ki khushbu ke dairon mein raha Agarchay zard rahi, par bahhar …
Read More »Kuch Admi Hi Yar Banane Ke Liye Hote Hain
Kuch admi hi yaar banane ke liye hote hain Baqi saaray ilaqa barhaane ke liye hotay hain Hum aisay log kaisay reh satke hain dil mein tairay Hum aisay dasht mein hi thikaane ke liye hotay hain Janan gharon ko aag nahi hain lagaya karte Dil aur jaan se yeh basanay ke liye hotay hain Halat gardish-e dauraa sab ko …
Read More »Har ghari khud se ulajhna
Har ghari khud se ulajhna hai muqaddar mera Mein hi kashti hon mujhi mein hai samandar mera
Read More »Kharch itna bhi nah kar
Kharch itna bhi nah kar mujh ko zamane ke liye Kuch to reh jaoon mein kaam apny bhi anay ke liye
Read More »Mein sach kahoon gi magar
Mein sach kahoon gi magar phir bhi haar jaoon gi Woh jhoot bolay ga aur laa jawab kar day ga
Read More »Na hum safar nah kisi
Na hum safar nah kisi hum nashen se niklay ga Hamaray paon ka kaanta hamein se niklay ga
Read More »Woh afsana jisay injaam tak
Woh afsana jisay injaam tak lana nah ho mumkin Usay ik khobsorat mour day kar chorna acha
Read More »Husn o doulat hain aarzi aakhir
Husn o doulat hain aarzi aakhir Khaak honi hai dilkashi aakhir Naam, mansab, urooj, shohrat bhi Sab yeh hotay hain mousmi aakhir Kyun ranjida ho unkay jane par Panchhi hotay hain hijarti aakhir Aik jugno mera hum nafs bana Chaatt gayi saari tayragi aakhir Talkh goyon ki haar lazim thi Mein ne sadhi thi khamshi aakhir Shaam mujh se udhaar …
Read More »Uthaye hain kya kya sitam raat bhar mein
Uthaye hain kya kya sitam raat bhar mein Diye jal rahay hain umeed-e sehar mein Bohat se kathan rastay hain magar tum Charaghoon ko bujhnay nah dena nagar mein Batati hai be chain palkon ki uljan Dareechay khulay hi rahay raat bhar mein Uthatay uthatay mein ab thak chuka hon Bohat aaye pathar meri rah guzar mein Nagar ki udasi …
Read More »